Kaise pata lagaya jata hai samundra ki gehrai ka,icho sounder kya hai,samundra kitna gehra hai,samundra ki gehrai ka pata kaise kare
kahi kahi samundra ki gehrai itni adhik hoti hai ki koi bhi insaan itni gehrai tak jakar iski gehrai ka pata nahi laga sakta,
Agar koi insaan itni gehrai tak jata bhi hai to use itna dawab mehsoos hoga ki woh apne saath oxigen le jane ke waabjood bhi saans nahi le payega.
Then kya apne kabhi socha hai ki samundra ki gehrai kaise naapi jaati hai ? To chalo aaj ham apko iss post me batane jaa rahe hai ki " How measure depth of the sea ?
Read also >>
- Aasman ke blue hone ka kya raaz hai ?
- Chameleon Apna color kaise change karta hai.?
- MILK se Dahi kaise ban jata hai.?
Samundra ya Mahasagar ki gehrai ka pata kaise lagaya jata hai ?
Vaigyanik samundra ki gehrai naapne ke liye jiss yantra ka use karte hai use " Icho Sounder " kehte hai.
Yeh yantra samundra me dhwaniya bhejta hai or Ye dhwaniya samundra धरातल se takrakar wapas isi yantra tak pahuch aati hai. And iss prakar dhwaniyo ke samundra me bhejne or wapas dhwani ke yantra tak pahuchne me lage samay ki गड़ना ki jaati hai Jisse dhwani ki गति ka pata lag jata hai.!
Sahi परिणाम ke liye samundri paani (Jisse hokar ye dhawani tarange gujarti hai) ke खारेपन or iske तापक्रम ko bhi गड़ना karte samay dhyan me rakhna hota hai. Kyu ki samundri tal ke ye gud bhi tarango ki gati ko prabhavit kar sakti hai.
'Icho sounder' se samundra me dhwaniyo ka प्रेषण lagatar chalta rehta hai or isse prapt hone wali soochna ek kaagaj ki patti par usi kram me ankit hoti rehti hai jo jahaj ke neeche samundri tal ke uche neeche dharatal ko स्पष्ट रूप se darsha deti hai.
Aaj kal 'icho sounder' ki jagah 'Laser sounder' ka bhi use kiya jane laga hai jisme dhwani tarango ki jagah prakash ki tarango ka use kiya jata hai.
Bonus point:-
- Ab tak uplabdh tathyo ke aadhar par samundra ki sabse adhik gehrai prashant mahasagar me 'maariyan dweep' ke paas ke kshetra me paayi gayi jaha paani Lagbhag 11 km gehra hai.
To ab aap jaan chuke hai ki samundra ki gehrayi "jo ki bahut gehri hai" ka pata kaise lagaya jata hai.
Hame behad khushi hogi agar aap iss post ko apne dosto ke saath bhi share.
Dhanywaad,
COMMENTS